Musaafir... ya gumshudaa?
Wo bheekh bhi maangta hoga hansaa hansaa ker
kyunki santosh ki syaahi usey pasand nahin hogi
kuch to pyaas ho ki honth fat padey....
wo nikal gaya hoga bahut door,manmauji hoga
lekin bhatka hua na samjhna, cheenti ki si naak hai uski
banjaara kaho,musafir kaho,gumshudaa wo lekin nahin!
muskaan hogi uski jugnu ki tarah contrasting...
kahin daanton ki chamak,kabhi maathe ke shikan ke saaye
jo apni mutthi me pakdoge to itraa ke bujh jaega
uska ohada fansaa hoga jeevan ke kisi daldal me...
bhangimaayen shaant kisi pakaaye hue matke ki tarah
chaahe daalo asthi bhasm,ya shringaar karo pallav roli se
aisa insaan mile jo kabhi yaara to mera bhaai samjhna.....
uskaa pataa puch lena., bemann hi sahi...
asal me main hun gumshudaa ya yun kahen uskey safar ka ek sabab bhi

No comments:
Post a Comment
Der lagi aane me unko...shukr hai fir bhi aaye to :)