JOURNEY AWAY 4M HOME ~meri khanabadoshi se puche koi kitna mushkil hai Raste ko ghar bolna...



Gar vo apne chehre mein sau 'aftaab' rakhte hai

Hum bhi aankhon mein gehari
'Chenaab' rakhte hain :)

Mere muskaan ki chatri ke 'aashana' hain kai mausam

Yun hi nahi zindagi tera 'lihaaz' rakhte hain




Thursday, October 30, 2008

TRIVENIYAAN~ kuch Maazi..kuch mustakbil...thodi Zindagi


Triveni is an innovative form of peotry which is a bit different from the usual forms like sher and ghazal. Unlike shers, the trivenis are written with three misra's (three lines of poetry) where first two lines forms a complete sher and the introduction of third misra(line) gives the sher a new dimension or meaning. Sher ko kuchh naye maani mil jaate hain.

~

Bakaul Gulzar -

Triveni Bah nikli -
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Shuru shuru mein jab Gulzaar sahab ne ye naya andaaz prastut kiya tha, to pata nahin tha yeh kis sangam tak pahunchegi - Triveni naam isliye diya tha, ki pahle do misre, Ganga Jamuna ki tarah milte hain, aur ek khayal, ek sher ko mukammil karte hain. Lekin in do dharaon ke neeche ek aur nadi hai - Saraswati. Jo gupt hai. Nazar nahin aati; Triveni ka kaam saraswati dikhana hai. Teesara misra, kahin pahle do misron mein gupt hai. Chhupa hua hai……aur fir roshandaan ki tarah naye aayaam kholta hai..arth ke…jaise ye hai :

उड़ के जाते हुए पंछी ने बस इतना ही देखा,

देर तक हाथ हिलाती रही वा शाख फ़िज़ा में.

अलविदा कहने को? या पास बुलाने के लिए?


(Gulzar)
ressure u know.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

My few trivenis....


MAUSAM :

chehre ki lakeeren chupakar tumne socha jo mujhe
tumne aadatan meri us tasviir me pyaas dhaal liyaa

ek dil hazaar mausam kaise dikhaye,tujhe kaise bhigaaye

~~~~~

WAFAA:

bahut hi chalaak raha hoga wo shaksh
muhabbat ka jisne wafaa naam rakh diya

Yun hi hai
is pyar ka pehla akshar hi aadha hai....aadhe safar ki tarah...

~~~~~~



TERI AADAT:

Apni girti huyi geeli palkon ko uthaya na karo, khuddari inki jagaya na karo
Tabassum hi rehne do, mili jo motiyaan unhe tod kar saagar banaya na karo

yaadon ke kashti pe, duniya ki saahil ka, tazurba nahi pasand,teri ye aadat nahi pasand



DESI KHOON :

koi ghair ghair hota..koi yaar yaar hota
sarso ki khet me paseena gulaab hota

mohabbat ki boo nahi cubicle-e-tanhai me


mehnat karne ki yun aadat si pad gayi is desi sil-batte ko
teri naajukie-mixie ko chalane ko kolhu ka bail ban
gaya

ab ye raaz jahaan me zahir ho to khuddari aur badh jaati hai

~~~~~

char aansun hamne ro diye jab Pher ke munh wo chal gya
kahani khatm na hui, wo purana Zakhm phir se hara ho gya

In baharon k aane se kya faayda Jisme dil ki kali hi jal gayi

~~~~~


MAA:

bachpan ki meri shararat ko pyar ki tang galiyon me baandh diya
jawaani me is chand ko udne diya na baandha, pankh apne kaat liye

ye koi rishta hai ya aadat hai tumhari ki har umr faayde me hi raha maa

~~~~~


NAMKEEN :


aadatan tujhe toot ke chahe to kabhi nadi se bahe
Ummeed-e-Pahadh sakht tha barson mai ret ho paya

teri Bewajah ranjish me samander namkeen ho
gaya

~~~~~


WAQT KA NAZARIYA:

Table ki Ghadi aur suraj ko dekhne me
Badhti umr k saath jara farq rakho bedil

Ek ne chehra kabhi na badla, dusra badal
gaya



ghadi k jharokhe se dekhne ka aadat theek na tha
Ek khwaab badi der tak sochte sochte thak gaye

Ghadi k cell ki tarah zindagi discharge ho gayi

 ~~~~~


MUNTAZIR :

"apna khayal rakhna" kehkar wo chal diya
us raaste se koi kabhi wapis nahi aya

sadiyon ka muntazir,raah badalta kaise?

~~~~~


@MUMBAI 

prem ki godaan aur azmi ki kaifiyat
ye miley aur dariya ban sair pe nikle

kisi saudagar ne apna gaon dubokar roka


bola usne ki aise kaise ye ho sakta hai
apne desh hi raho, tumhari jarurat nahi

jaher ko bhi disha ki geopolitics sikha di

~~~~~



COMMUNISM :

suraj ke varchasva se pareshaan hoker
taaron ne apni community se kiya bedakhal

isey irshyaa kahenge ya taaron ka communism?

khada hai din ke ujaale me akela 'SURAJ'
idhar chaand ban gaya leader taaron ka

Dominance nahi, humility hi safalta ki kunji hai

~~~~~~



Yaadein


"wo" tumse bahut peeche chal raha tha
aaj tum nahi to akela paaker khoob mara

dil ke vibhishan ne hi bataya hoga pata mera


bahut bhaaga lekin uske paas nirasha k lambe haath the
fir aise pakaya jaise birbal ki khichdi bana raha ho koi

aankhon me paseena aaya hai, naraaz nahi hu main

~~~~~

DEEPAWALI :

hawaaon ki shararat ko kabhi
door-drishta kapaas ne baandh liya tha

ab wo sneh me doob ke jalengi nirantar 

kumhaar ne jara adrenaline use kiya aur jara ungliyon ki kala bhi
deepak ne mauke ka faayda utha kar tap ke alag kiya astitva 

wo bhi tang aagya tha sansaar ki nazar-andaazi se


dono ne kiya parishram anant, aj mel hua inka
aaj wo muskura raha hai baati ke sang......

aaj ye jodi jhuthlaate hain newton's law ko!!

~~~~~
ek desi raket utha sursura ke aur padosi ke ghar me ghus gaya
dusri chakri golmaal nikli...bombwa seel gaya tha so fuss ho gaya

ye sab ghatnayen conditional hai gar aap murga chhap wale patake jalate ho ;)

~~~~~

 

No comments:

Post a Comment

Der lagi aane me unko...shukr hai fir bhi aaye to :)